गुरुवार, 18 फ़रवरी 2010

kaun bevfha

ek pati-patni ke baare me . patni bimar aur maut se lad rahi hai. pati se bahut pyar karti hai. pati ko sukh nahi de sakne ke karn chintit hai. vah chahti hai ki pati dusri shadi uske samne hi kar le aur eske liye pati ko tlak bhi dene ke liye taiyar hai. pati bhi use talak dekar dusri shadi karna chahta hai, par kya vah patni ke sath bevphai nahi kar raha? vah janta hai ki patni dil se yeh nahi chahti lekin uski khushi ke liye talak bhi dene ke liye taiyar hai aise me kya pati bevpha nahi huwa?

सोमवार, 15 फ़रवरी 2010

ek parmpra manhus karar dene ki

kaphi vayathit kar gaya yeh vakya jab nai bahu sasural aayi aur hapte bhar baad hi sasur ka accident ho gaya. ssur hospital men aur edhar bahu manhus karar di gayi. charo taraph se vyang vaan, jo jitana tikha chla sakta tha chalata tha aur yes kam aurte hi adhik karti kyonki eski thekedari unhe virasat me milihoti hai. kya yeh kisi na kisi rup me hamesh jari rahega? kash ki hamari sonch badal jay.

बुधवार, 10 फ़रवरी 2010

aajadi udne ki

jite to sabhi hai lekin jina vahi hota hai jo dil se jiye. aurton ko janm se hi aise bandhno me jina hota jisme uljh kar vo apne jine ka maksad dhudhti rah jati hai aur yah maksad unhe antim samy tak nahi miil pati. kash ki yah ajadi hame bhi hoti ki khitij ke us par pahuch kar eak nayi duniya khoj lete. pankh to hame bhi hai lekin koshish hi nahi hoti. dar lagta hai bandhno ko todh aage badhne se. simta jivan hamari sonch ko bhi sankuchit bana chuka hai. shayad udne ke liye ek prerna ki jarurat hai.